Secret sauce that brings YouTube followers, views, likes
Get Free YouTube Subscribers, Views and Likes

3 Scientific Study Secrets! 🔥 Zero to Topper in 6 Months | Study Motivation

Follow
Motivation QuoteShala

3 Scientific Study Secrets! Zero to Topper in 6 Months | Study Motivation | Study Tips and Tricks | Motivation QuoteShala | QuoteWale Bhaiya | KahaaniWale Bhaiya | Study Tips | Study Motivational Video

About The Video
Kya tum ready ho ek aisa academic safar par nikalne ke liye jo tumhri padhai ko ek naye rang dene ka dum rakhta hai? Humare saath judein is shandaar study motivational video mein, jahan bhaiya apko '3 Scientific Study Secrets' reveal karenge, jo aapko ek struggling student se confident topper bas 6 mahino me bana degi


➡ Shallu Bhaiya Se Baat Chit Nahi Karoge?
Instagram   / motivation_quoteshala  
Telegram https://t.me/MotivationQuoteShala

✅ Topics Covered
3 Scientific Study Secrets, Best Study Tips, Zero to Topper Kaise Bane?,Best Study Secrets,Exam Tips and Tricks, Exam Motivation

Quote Wale Bhaiya ne pyyar se likha hai Likha Hai
Aaj ki kahani shuru hoti hai jab tum apne phone mein Instagram chala rahe the, tabhi achanak exam dates ke notifications aaye! Tumhe laga, "Oh no! Bas kuch mahino mein final exams hain, aur maine ab tak padhai shuru hi nahi ki! Ab itne kam waqt mein padhai kaise hogi? Kahi main fail ho gaya toh? Aur agar bure marks aaye toh?" Isi chinta se tum pareshan the.

Lekin is video mein, hum tumhe batayenge 3 Study Secrets jo scientific facts par adharit hain aur agar tum inhe agle 6 mahino tak follow karte ho, toh 100% zero se topper ban sakte ho! Toh bina ek bhi second waste kiye, chaliye shuru karte hain.

Secret 1:
Ek adhyayan ke hisab se, 176 students ko 2 groups mein baata gaya Group A aur Group B. Group A ke students ne apne baare mein khud se positive baatein ki, jaise "Main taiyar hoon" aur "Main achha score karunga," jabki Group B ne aisa nahi kiya. Result tha ki positive selftalk wale students ne 12% zyada marks score kiye. Toh Study Secret 1 hai hamesha king mindset rakho aur padhai se pehle positive affirmations bolo!

Secret 2:
Ek kahani se samjhte hain. Radhi aur Krish ki ladai jaisi shuruaat hoti hai. Radhi ne Krish se dosti nahi karni chahi thi, lekin jab Krish ne usse challenge diya ki agar woh use hara dega toh dosti pakki, tab Radhi ne socha ki ye impossible hai. Lekin jab result aaya, Krish ne Radhi ko hara diya.

Isse pata chalta hai ki zyada padhne se zyada zaroori hai ek aur cheez, jo 2016 mein MIT mein ki gayi ek research se saabit hui. Jab students ko Carpentry, Plumbing, aur Software Development ki skills sikhayi gayi, toh un students ne 75% jaldi wo skills sikhi, jo unhone us field ke experts se training li. Researchers ne un experts se padhne wale students ke brain scans liye aur unke brain mein prefrontal cortex ka activity zyada thi, jo planning, decision making aur problemsolving se juda hota hai.

Isliye hum dekhte hain ki highly successful log expert se sikh kar bade hote hain, jaise Sundar Pichai aur Infosys ke founder Narayan Murthy ke mentor Professor Deshpande Sir the. Toh Study Secret 2 hai hamesha experts se seekho aur champions ke saath train karo!

Secret 3:
Ab hum aate hain secret 3 par likho, yaad rakho. Tum padhe hue topics ko yaad kaise rakh sakte ho? Iska jawab hai Study Secret 3 mein. Jab tum sirf padhte ho, toh sirf 0 se 10% yaad rehta hai. Jab notes banate ho, toh 5 se 15% yaad rehta hai, aur jab flashcards banate ho, toh maximum 20% yaad rehta hai. Lekin ek technique hai jisse use karke tum padhe hue 32% tak yaad rakh sakte ho!

Ye technique effective kyun hai? Kyunki isme 3 important learning elements shamil hain. Pehla element hai active learning. Dusra element hai retrieval practice, jisme hum actively apni memory se information recall karte hain, jisse hum padhe hue cheezo ko lambe samay tak yaad rakh sakte hain. Aur teesra element hai ki iss technique se students apne mistakes aur knowledge gaps ko identify kar sakte hain.

Toh Study Secret 3 hai topics ko samajhne ke turant baad, bina dekhe, apne shabdon mein, sirf padhne ke bajaye, apne jawab likho aur topic summaries banao.

Is video mein hamne ye 3 study secrets bataye hain:
Raja Ki Soch King's Mindset aur Positive Affirmations
Experts Se Seekho Learning from the Experts and Training with Champions
Likho, Yaad Rakho Writing your Answers and Topic Summaries
In secrets ko follow karke, tum zero se topper ban sakte ho! Toh ab tumhe chahiye bas in secrets ko amal mein lana aur apne padhai mein safalta paana. All the best!

✅ Ye Video pasand aya hai toh ye bhi dil me ayega
Aag Motivation Videos @    • Aag  Motivation Videos  

Ese he motivational quotes hindi me sun ne liye bane rahiye,
Motivation QuoteShala Se ,
Quote Wale Bhaiya Hai Na, Apan Milkal Macha Denge ❤

posted by ardentluv015gi