15 Free YouTube subscribers for your channel
Get Free YouTube Subscribers, Views and Likes

Meri Zeest Pur Musarrat Kabhi Thi Na Hai Na Ho Gi - PIR NASEER UD DIN NASEER - Best Urdu Poetry

Follow
Lehja

Urdu Poetry of Pir Naseer Ud Din Naseer
Ghazal: Meri Zeest Pur Musarrat Kabhi Thi Na Hai Na Ho Gi
Recitation: Raheel Farooq

مری زیست پر مسرت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

پیر نصیر الدین نصیرؔ کی خوبصورت غزل اردو شاعری



LEHJA A CLASSIC URDU POETRY CHANNEL

Lehja (لہجہ) is an Urdu literary (adabi) channel on YouTube. We produce recitations (voice over) of the masterpieces of Urdu poetry. Shayari of Asatiza (the greatest poets of Urdu) narrated by Raheel Farooq with classical melodies in the background is an experience people of taste can relish nowhere else. SUBSCRIBE NOW!    / recitation  

LEHJA PODCAST

Listen to Lehja on all major podcast and music streaming platforms including iTunes, Spotify, Deezer, Amazon Music/Audible, Stitcher, iHeartRadio, JioSaavn & Gaana.com.

https://anchor.fm/urdurecitation

LEHJA STORE

Love the classics? Buy the classics!

Tshirts, mugs, tote bags, phone cases and more with Urdu art.

https://store.recitation.net

FOLLOW US

Facebook:   / urdurecitation  
Twitter:   / urdurecitation  
Instagram:   / urdurecitation  
Reddit:   / urdurecitation  
Tumblr: https://poetryrecording.com

SUPPORT US

Patronize:   / urdu  



POETRY TEXT:

غزل کا مکمل اردو متن:

مری زیست پر مسرت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی
کوئی بہتری کی صورت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

مجھے حسن نے ستایا مجھے عشق نے مٹایا
کسی اور کی یہ حالت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

وہ جو بے رخی کبھی تھی وہی بے رخی ہے اب تک
مرے حال پر عنایت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

وہ جو حکم دیں بجا ہے مرا ہر سخن خطا ہے
انھیں میری رو رعایت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

جو ہے گردشوں نے گھیرا تو نصیب ہے یہ میرا
مجھے آپ سے شکایت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

ترے در سے بھی نباہے درِ غیر کو بھی چاہے
مرے سر کو یہ اجازت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

ترا نام تک بھلا دوں تری یاد تک مٹا دوں
مجھے اس طرح کی جرأت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

میں یہ جانتے ہوئے بھی تری انجمن میں آیا
کہ تجھے مری ضرورت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

تو اگر نظر ملائے مرا دم نکل ہی جائے
تجھے دیکھنے کی ہمت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

جو گلہ کیا ہے تم سے تو سمجھ کے تم کو اپنا
مجھے غیر سے شکایت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

ترا حسن ہے یگانہ ترے ساتھ ہے زمانہ
مرے ساتھ میری قسمت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

یہ کرم ہے دوستوں کا جو وہ کہہ رہے ہیں سب سے
کہ نصیرؔ پر عنایت کبھی تھی نہ ہے نہ ہو گی

Complete Text of Ghazal in Roman (Credits: Rekhta):

mirī ziist par masarrat kabhī thī na hai na hogī
koī behtarī kī sūrat kabhī thī na hai na hogī

mujhe husn ne satāyā, mujhe ishq ne miTāyā
kisī aur kī ye hālat kabhī thī na hai na hogī

vo jo beruḳhī kabhī thī vahī beruḳhī hai ab tak
mire haal par ināyat kabhī thī na hai na hogī

vo jo hukm deñ bajā hai,mirā har suḳhan ḳhatā hai
unheñ merī rūri.āyat kabhī thī na hai na hogī

jo hai gardishoñ ne gherā, to nasīb hai vo merā
mujhe aap se shikāyat kabhī thī na hai na hogī

tire dar se bhī nibāhe, dareġhair ko bhī chāhe
mire sar ko ye ijāzat kabhī thī na hai na hogī

tirā naam tak bhulā duuñ, tirī yaad tak miTā duuñ
mujhe is tarah kī jur.at kabhī thī na hai na hogī

maiñ ye jānte hue bhii, tirī anjuman meñ aayā
ki tujhe mirī zarūrat kabhī thī na hai na hogī

tū agar nazar milā.e, mirā dam nikal hī jaa.e
tujhe dekhne kī himmat kabhī thī na hai na hogī

jo gila kiyā hai tum se, to samajh ke tum ko apnā
mujhe ġhair se shikāyat kabhī thī na hai na hogī

tirā husn hai yagāna, tire saath hai zamāna
mire saath merī qismat kabhī thī na hai na hogī

ye karam hai dostoñ kaa, vo jo kah rahe haiñ sab se
ki 'nasīr' par ināyat kabhī thī na hai na hogī

#Urdu #Shayari #Adab

posted by joseberna1q