Free views, likes and subscribers at YouTube. Now!
Get Free YouTube Subscribers, Views and Likes

Tere Ishq Ki Inteha | Muhammad Samie | Official Video | 4k

Follow
Muhammad Samie

Short Sufi Spells (Chapter 2) The Eighteenth Spell
TERE ISHQ KI INTEHA | MUHAMMAD SAMIE
======================================
Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Allama Iqbal | Abdul Hamid Adam | Mirza Ghalib | Ibrahim Zauq | Jigar Muradabadi | Hari Chand Akhtar | Hafeez Jaunpuri | Bedam Shah Warsi | Seemab Akbarabadi | Fani Badayuni | Wahshat Kalkatvi | Muhammad Samie
======================================
AUDIO CREW:
Music Production: J Ali
Music Direction: J Ali & Muhammad Samie
Harmonium: Muhammad Samie
Tabla: Israr Dildar
Violinists: Muhammad Ilyas, Amjad Ali, Ghulam Ali
Clarinet: Jafar Hussain
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
======================================
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
Cinematographer: Suleman Shah
PostProduction: Suleman Shah
Lighting Production: Ahmed Mustafa Studio
Focus Puller: Bilawal Ahsan
BTS DoP: Muhammad Omer
Production Assistance: Light & Grip Production
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Production House: Heaven & Hades Productions
A Short Sufi Films’ Presentation
======================================
© 2023 – Short Sufi Spells
© 2023 – Short Sufi Films
======================================
Follow Samie on:
Youtube:    / muhammadsamie  
Facebook:   / msamieofficial  
Instagram:   / samie_muhammad  
Twitter:   / muhammadsamie  
Official Website: https://www.muhammadsamie.com
======================================
LYRICS:
Khiradmandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai

Tere ishq ki inteha chahta hun

Na shohrat na sarwat na mehraabomimbar bas ..
Tere ishq ki inteha chahta hun

Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Tere ishq ki inteha chahta hun

Aql ne jab bhi diya mujh ko farebemantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koochaeyaar mein chal dekh le jannat meri
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqameyaar nahin
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun

Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
Mein aap ka samna chahta hun

Yahi aalam raha pardanashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen kohetoor ki
Rakha hai us ne wa’adaedeedar hashr par
Achi saza hui hai dilenasaboor ki
Keh mein aap ka samna chahta hun

Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
Keh mein aamna samna chahta hun

Jab se chali hai adamoyazdan ki dastan
Har bawafa ka rabt hai ik bewafa ke sath
Peeremughan se ham ko koi bair to nahin
Thora sa ikhtilaaf hai mardeKhuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Mein aamna samna chahta hun

Yeh rozehashr hai malik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay rooejanana
Keh mein aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada beadab hun saza chahta hun

Rindekharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Bada beadab hun saza chahta hun

Janabeshaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
Bada beadab hun saza chahta hun

Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
Bada beadab hun saza chahta hun

Zahid ko ratt lagi hai sharabetahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharabetahoor ki!
Bada beadab hun saza chahta hun

Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga

Bada beadab hun saza chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Keh main aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
#MuhammadSamie #TeraIshqKiInteha #ShortSufiSpells #ShortSufiFilms

posted by Gontarskie1